Sazaon ko kaha galtiyon
ki zaroorat padti hai,
Galat fehmiyan hi kaafi hai
beqasoor ko gunehgaar banane mein.
yogikriplani
https://www.instagram.com/yogikriplani/
-
yogikriplani 14w
-
yogikriplani 15w
Kuch haste toh kuch rote chehre dikhe
saal mein waqt ke kahi pehlu dikhe
Kya khoya, kya paaya iski na fikr hai
Tere diye har ek cheez ka shukr hai... -
yogikriplani 15w
Yeh sapne itne mehenge hai,
Sukoon ghirvi rakh aaya hoo...
©yogikriplani -
yogikriplani 17w
पल भर में हमे
हमराज़ कहा था,
और फिर भरी महफ़िल में
नज़रअंदाज़ करा था....
Pal bhar mein hume
humraaz kaha tha,
Aur phir bhari mehfil mein
nazar andaaz kara tha... -
yogikriplani 18w
Zindagi hardum mujhe
ek paheli ki aur keeche,
Kya tu hai bas woh
joh dikhaya gaya hai
Ya hai koi aur shaks
iss chehre ke peeche... -
yogikriplani 24w
Kaun jaanta hai hume,
kaun samajhta hai tumhe
Bas yehi soch mein waqt
guzaare jaa raha hai insaan
Joh bechara khud se hi
anjaan hai aaj tak.... -
yogikriplani 28w
Zindagi ke iss kisse mein
lagatar ek ajeeb si uljan hai,
Karte rahe dil ki
chahaton ka peecha
Ya chod de faisla
haathon ke lakeeron pe....
©yogikriplani -
yogikriplani 29w
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta,
Kahin zameen kahin asmaan nahi milta.
Yeh kya azaab hai sab apne aap mein gum hain,
Zuban milti hai magar hum-zuban nahi milta.
- Nida Fazli -
yogikriplani 29w
Sab kuch mil jaana jeet nahi
Aur sab kuch kho dena haar nahi,
Yeh mehaz do pal ki khwaishein hai
Isme tera na koi kirdaar hai
aur na kasoor koi... -
yogikriplani 29w
सब कुछ मिल जाना जीत नही
और सब कुछ खो देना हार नही,
यह महज़ दो पल की ख्वाइशें है
इसमे तेरा ना कोई किरदार है
और ना कसूर कोई...
