In the end, what we are left with is;
“ourselves”!
©syeda_fazila
syeda_fazila
-
-
''11.53AM''
My heart beating rapidly, palm sweating,
thoughts racing rapidly
accompanied by tormented tears.....
I'm like - “hey, anxiety! Long time no see ?”
©syeda_fazila -
Dekha jaye tou zindagi kitni khoobsurat aur asaan hai na...
Bs sab loug apni apni guzarey toh!
©syeda_fazila -
I wish ,
We're only a thought!
©syeda_fazila -
Raat k paas andherey k siwa kuch nahi hai !
©syeda_fazila -
•“there's a way to heart ! ”
©syeda_fazila -
•“Apparently humans are the worst hope to humanity!”
©syeda_fazila -
• “ People are just shadows ;
some hide , others reveal ”
©syeda_fazila -
•“trust him! ”
It's an acceptance....
Everything's been written by him;
Our present is written by him, what happened in the past was meant to happen and what will happen in future, it's bound to happen.
Our body is just a medium to help our souls reach him
©syeda_fazila -
•“betrayal!”
Tears were a betrayal to her loyalty,
but smiles were a betrayal to her heart.
©syeda_fazila
-
In order to wake up one must sleep.
©poetrynowar -
Some Scars Are Scary
©poetrynowar
-
My thoughts are violating find 'em out
Those screams are chilling clear and loud
Gimme a cigarette light it up
A pen and a paper to write it up
Panic spread through the room Though its empty
All the walls are shaking beyond their capacity
It's out of my control the revolutions in my head
All of the sudden a storm on my bed
My face turned pale in suffocation
And my pen awaits to write but no communication
©poetrynowar -
poetrynowar 40w
Na ishq kar na wafa kar
Na kisi ko khamkha khafa kar
Mile waqt to kar nakiya
Kar Midhatein Na Jafa Kar
Kar Aarizo Ho Aashina
Dillagi Mein Kya Faida
Tu bashar hain tu sabar kar
Phal bhi dekh mil jayega
©poetrynowar -
poetrynowar 40w
Seerat kya surat kya Zaat kya hain
Ishq mein bashar ki Bisaat kya hain
Kha gayi ajal kaise kaiso ko
Ishq ke samne Hayaat kya hain
Reh gaye na'karda'kaar sabhi bashinde
Aashiqo se pucho to Baat kya hain
Padh gaye ishq mein phir ye nahi dekhte
Zindagi kya, Jeet kya hain maat kya hain
Chaar pehar bas soch mein dobe rehte hain
Phir Sehar kya din kya Raat kya hain
Ye Dil ka khel hain kheley khelne wale
Mujhe nahi pata ye Jazbaat hain kya
Adami yaqeenan Kisi Kaam ka Nahi Rehta
Ye humsafar kya aur uska sath kya hain
©poetrynowar -
poetrynowar 40w
Zamane Ne Mere Parr Chein Liye
Mere Jitne The Aziz'Tar Chein Liye
Ab Aawara Phirta Hoon Sadkun Par
Isne Sare Malango Ke Ghar Chein Liye
Ye Kisi Ko Kisi Ka Hone Nahi Deta
Meri Jin Par Thi Nazar Chein Liye
Zindagi Ki Jung Thi Phir Sar e Aam
Mere Hath Se Teg o Tabar Chein Liye
Tanha Kar Gaya Bhari Bheed Mein Bhi
Ayan Zindagi Jeene Ke Sare Hunar Chein Liye
©poetrynowar -
poetrynowar 42w
Zindagi safar hain ye safar tera Tamaam nahi
Yaha sab khaas hain bhai Koi aam nahi
Shu'ru har woh fa'al jis mein Allah ki Raza na ho
Woh iktitaam ho bhi jaye par koi Anjaam nahi
Meyaar Dhundne se milta nahi yaha logo ka
Magar Din dhal jana Zindagi ki to Shaam nahi
Willa Ali Mola ki dil mein nahi to afsoos hain
Sab Raakh hain kynki Tu unka to Gulaam Nahi
Rah e Haq mein mar bhi jao koi martaba Nahi
Sawaab Door ki Baat Hain koi Ajar Tere Naam Nahi
Gairo Se Deen talab kar ke duboya khud ko
Ayan Suno Ye To Mere Pyare Nabi Ka Paygaam nahi
©poetrynowar -
poetrynowar 41w
Khair Ab Jo Bhi Hua Accha Hua
Thehar Ab Jo Bhi Hua Accha Hua
Har kilwat Marti Rahi Raat Bistar Par
Guzri Qehar Ab Jo Bhi Hua Accha Hua
Tera Dil Na-karda-kaar Sahi Magar Ishq
Ye Zehar Ab Jo Bhi Hua Accha Hua
Sare Log Mutafiq Nahi Ik Azaab Par
Ye Shehar Ab Jo Bhi Huq Accha Hua
Taweel Musafat Aur Safar Jaari Hain
Guzra Dahr Ab Jo Bhi Hua Accha Hua
©poetrynowar -
poetrynowar 41w
Life is hard but ignoring someone you love is cruelty
©poetrynowar -
poetrynowar 40w
Mistakes Can Be Corrected
But Not All Of 'Em!
©poetrynowar
