Kuch thoda sa pyaar me bhi karti hun aap dono se
Kabhi kaha nahi, par ab kehna chahti hun
-yashvi italiya
-
flyhigh 176w
Itne lafz nahi aate mujhe
Ki apko bayan kar sakoon
Itni himmat nahi mujhme
Ki mohabbat ka izhaar kar sakoon
Kabhi aisi baatein hui nahi humare beech
Jo me ab baith kar bol sakoon
Papa apki kameez pehna karti hun
Badi hai par sundar dikhti hoon
Maa teri ankhein kabhi kabhi yaad aa jati hai
Jab tujse milon door hoti hun
Papa apki haseen gunjti hai iss dil mein
Jab sun'ne ko sannatta bhi kho baith'ti hun
Maa aksar tere na hone ka ehsaas rulata hai
Ankhon me jagah nahi in ansu ko aur kahan rakhu
Papa apne jo sikhaya tha vo ab bhi yaad hai
Bhul gayi to bas apki maujudagi ka ehsaas hu
Maa tere hathon se bana khana milta nahi
To kabhi kabhi bhukhe pet hi so jati hun
Kuch thoda sa pyaar me bhi karti hun aap dono se
Kabhi kaha nahi, par ab kehna chahti hun