.
-
whitebell 18w
Har nigah veerañ hai dhundh si faza me hai
Kya taraf-taraf dekhuñ zindagi khalaa me hai
Aañsuon ka nazraana phool ki qaba me hai
Raat ki kahani me, subah ki faza me hai
Is bahaar ki rut me phool paat peele haiñ
Kis tarah ka zahr aakhir aaj fiza me hai
Saahiloñ ko mat taako, kashtiyoñ ko mat dekho
Baat kuch bhayanak si zehen-e-na-khuda me hai
Uske jism par bhi hai kya tanaav sochoñ ka
Ek shikan ubharti si be-shikan qaba me hai
–afira//tanhayi