Waqayee, ajeeb hai tu, Aye waqt!
Ik pal ko apna
Dusre mein paraaya
Kabhi zaqmon ka marham
Kabhi ghamon ka saaya
Yun toh saare hi mezbaan tere
Par tu mehmaan sabhi ka nahi
Qadr.daan tujhe kam hi nazar aate honge
Isiliye shayad theherna kahin pasand nahi tujhko
Kisi aur ki mujhko kya
Tujhse apne haal ka sawaali mai
Aye waqt, mujhe ye toh bataa
Is naadaan se kya aisi qataa hui
Konsa namaaloom gunah hua
Jo tu meri gali aata toh hai
Par sard hawaa ki mannid
Tune mujhse ye kaisi bair rakhi hai
Maano jaise koi purana dushman ho
Ek pal ko rukja meri jaanib
Mujhse bhi toh rehem dili ka muamla kar
Ki main kabse hoon teri acchayi ka ummeedvaar.
©begumhumera
-
itshumera 50w