Bata do !!
©_the_nightmare
-
_the_nightmare 31w
Zuba pe shabd hai nahi
Tum samajh sako
Toh samajh lo
Khamosh hai mera chehra
Ankhon se arj kiya hai
Tum padh sako
Toh padh lo
Ki ho tum mere dil mein
Ye kaise batayein
Par, aakey pass mere
Dhadkan sun sako
Toh sunlo
Ki yaad kartein hai tumhe
Ab toh neendein bhi khafa hai
Hichkiyan aati hongi tumhe
Mehsus kar sako
Toh kar lo
Izhaar aata nahi hai karna
Shayar ki bhasa he aati hai
Tumpe hee nazm hai
Tumhari hee baatein hai
Wadein hazaar hai
Tum nibha sako
Toh bata do
Jo Chand shabdo me bayan mehfile karti hai,
Samjh sako to samjho aankho ko,
jo tm bin moti ko pani karti hai.
Behtareen