Mustaqbil
Noosha hai jo taqdeer Roz e azal har aadam par
Halaat e noom hai phir bhi zaahir yahaa har kisi ki aankhon par
Ab toh ghamgheen hai zarah zarah iss sehar ka bewajah
Apne wajood ko mitey baithey hai chand khwaboon ke liye yeh nadaan
©mallajameel
mallajameel
A cry of muted stranger
-
mallajameel 20w
-
mallajameel 21w
wafa
ishq khamoosh ho toh nazar yeh bayaan haal karti hai
ab keh bhi do iss sitamgar zamaane se koi laafza nahi koi aah nahi bas dil ki dharkan hi wafa karti hai......
©mallajameel -
mallajameel 35w
bikhar jaana
Poshida hai har ek wajah teri na umeedi ki mujh se
inkshaaf nahi tu shinakhat toh kar apne iss ajnabee dil ki
Askaar ho rahi hai uljan tere bazaar e shaam ki
badbaan kyun na ho har ek muqaddas lafz uss gumnaam raahi ki.....
©mallajameel -
mallajameel 35w
Aamad
Aziyat toh virasat hai inn ankhoo ke fareeb ka....
warna dil hi kaafi tha muqadar mai sitam daaneh ko
Tera saaya jo dikhey qaher kyun na ho chahney waloo pe
Hungama toh riwaayat hai jo baat uthey tere mera matam ki mehfil mai
jam.....
©mallajameel -
Ehsaas
zaalim kay bichednai ka malaal nahi mujhe
yaktah tehleel hai mera dil ka hissa mai woh barkat waale gham kahi.......
©mallajameel -
mallajameel 49w
Tahamul
Haan kabhi seekha tha chalna teri sehar ki awaraa galiyoo mai maine
Aaj rahgeero se suna toh maloom hua khoon se sairaab terai sabza baagh aaj bhi hujoom ki zeenat baney hua hai
Tujhe maloom hai rounak toh din ki tarah teri aankhoon ki humsafar hoti thi
Iss sitamgar dil ko pooch jab raat hoti hai toh tere jalwe bhi khamoshi ki kalam se likhay hotey hai....
©mallajameel -
mallajameel 59w
viraan
Maine viraan dekhay hai kayee ghar iss basti kay daaman mai
Bas hairaan se reh gayi hai kuch chalti phirti laashey jo marney ki talab liye baithe hai.....
©mallajameel -
mallajameel 62w
aks e roh
Mere wafa ka qissa jab arsha pe ghoonja
Tera farsha waloo nai mere mazaar pe khoon e wafa likh daala
Kahin kisi bhool say koi phool gumrah na hoon mera qabar kay daaman par
Mera chahney waloon nay usay challawar mitti ke raaz mai dafan kar daala.....
©mallajameel -
mallajameel 68w
dawah
Khamoosh hai sheher ki betaab hai jo khud pasand tha kabhi
kamal e ishq hai marz mureed ban baitha zeher ka
be- asar hai dawah-e sukoon uss hakeem ki ab toh
ghafil hai zeher bhi ki dawah ban baitha woh kisi ka
©mallajameel -
mallajameel 72w
poshida
Mayaar jo bayaan huva mehfil mai pur josh
maine tere wajood ko tabdeel paya usi rooz
jo yeh nayaab kissa hai masoomiyat ka huzoor. mazloom o bebas ko rashka hai iss se zaroor
yu toh tujhe khafa hona tha bewajah
wazaahat ki tawaqul na sahi bas gawah rehna aey subah
©mallajameel
