Nhi Reh Sakta.....❤️
Subah Uthta Hun To Pehla Khayaal,
Mann Main Tera Hi Aata Hai,
Tujhe Le Chalu Apne Saath,
Mann Bas Yhi To Chahta Hai,
Dekhu Jidhar, Nazar Chehra,
Bs Mujhe Tera Hi Aata Hai,
Tu Na Dikhe Jo Ikk Din,
Mera Mann Ghabrata Hai,
Dunga Sabko Ikk Din Jawaab,
Jo Jo Humpe Sawaal Uthata Hai,
Ab Nhi Reh Sakta Ikk Pal Bhi Tere Bin,
Maahi Tujhe Itna Chahta Hai.
- Maahi.
©maahi_writes_official
-
-
Na Jaane.....❤️
Na Jaane Log Kese Kisi Se Naraaz Reh Lete Hain,
Ek Hum Hain Jo Zra Bhi Gussa Krne Se Drte Hain,
Na Jaane Kese Koi Kisi Ko Itna Sab Keh Deta Hai,
Ek Hum Jo Sab Ka Sab Bs Dil Main Dabaye Rakhte Hain,
Na Jaane Koi Kese Kisi Ko Apna Kehke Bhul Jaata Hai,
Ek Hum Hain Jo Sab Ko Pal Bhar Main Khaas Bana Lete Hain.
-Maahi.
©maahi_writes_official -
❤️
Waqt ke saath, humne sabko badlte dekha hai....
Rooh ki baat krne waalo ko ,
Aksar jismon ki talash mai bhatakte dekha hai.
-Maavi.
©maavi_writes -
Iss Dil Vich Vasda Vi Tu Ae,
Mere Haaseyan Ch Hasda Vi Tu Ae,
Iss Dil Nu Sunnan Waala Vi Tu Ae,
Mere Naal Supne Bunnan Waala Vi Tu Ae,
Ki Dssa Tenu Apne Dil Da,
Haal Hun Main Maavi Ve,
Meri Te Shuruaat Vi Tu Hi Ae,
Te Mera Ant Vi Sajna Tu Ae.
-Maavi.
©maavi_writes -
Aas.....
Ve Bandeya Je Tu Hasna Ae,
Na Kise Nu Rooh De Paas Rakhi,
Koi Khaduga Tera Banke Kade,
Na Duniya To Eh Jhuthi Aas Rakhi,
Ethe Nitt Badalde Lok Channa,
Na Kise Nu Aapna Khaas Rakhi,
Je Kalla Ae Kadi Rovi Na,
Bhull Ke Vi Kise Da Hovi Na,
Je Kise Da Banna Chavenga,
Tan Theda Changa Khaavenga,
Fer Mud Ke Ehi Pachtavenga,
Ki Kyu Maahi Di Gal Na Yaad Rakhi,
Ve Bandeya Je Tu Hasna Ae,
Te Na Kise To Koi V Aas Rakhi.
-Maahi.
©maahi_writes_official -
Kese Reh Paunga.....
Wo Milna Ab Na Hoga Unse,
Jinse Roz Baatein Hua Karti Thi,
Kabhi Natkhat Si Shararatein Hoti Thi,
To Kbhi Bin Baat Ruswaiyan Hua Karti Thi,
Jab Puchu Hua Kya Hai Unhe,
To Bs Jhat Se Gle Wo Lag Jaati Thi,
Ab Unka Yun Hakk Jatana Na Hua Karega,
Bina Wajah Mujhe Gle Lagana Na Hua Karega,
Wo Pehle Jese Meri god Main Hi So Jaana,
Or Jab Main Bistar Par Sulau Unko,
To Kuch Der Or Kehke Mujhse Firse Lipat Jaana,
Ab in Baanho Main Unka Wo Ehsas Na Hua Karega,
Ab Pehle Jesa Unka Saath Naa Hua Karega,
Ye Sab Yaadein Bhala Ab Main Kahan Dabaunga,
Khudko Tumko Chahne Se Kese Rok Paunga,
Jis Andhere Se Nikla Tha Fir Wnhi Chala Jaunga,
Tum Hi Btao Tumse Dur Mai Kese Reh Paunga.
-Maavi.
©maahi_writes_official -
Kahan Tum Chale Gye.....
Hum Abhi Abhi To Mile Hi The,
Bandishon Ke Aage Khule Hi The.
Mera Abhi Abhi Hi Dil Sudhra Tha,
Apni Har Burayi Se Mukra Tha,
Tumhe Isi Dil Main To Sajana Tha,
Na Meri Khushi Ka Koi Bhi Thikana Tha,
Ikk Duje Ko Abhi Hi Pehchana Tha,
Abhi To Bohat Lamba Saath Nibhana Tha,
Tune Abhi To Dikhaya Ujala Tha,
Mujhe Andhere Se Bahar Nikala Tha,
Din Bure Khatam Hone Ko The,
Samay Karwat Badalne Waala Tha,
Ese Main Tanha Mujhe Chorh Kar,
Mere Sapno Ke Mehel Ko Tod Kar,
Meri Rooh Andar Tak Jhakjhor Kar,
Jaane Kahan Tum Chale Gye.
-Maahi.
©maahi_writes_official -
Happy Father's Day.....❤️
Haan Kabhi Kabhi Meri Nadani Se,
Wo Naraaz Zaroor Ho Jaate Hain,
Mere Bachkane Faislon Par Bhi,
Wo Aksar Gussa Dikhate Hain,
Par Iss Duniya Ke Fareb Se Har Daffa,
Mujhe Papa Hi To Bachate Hain.
-Maahi.
©maahi_writes_official -
Ishq Se Mulakaat.....❤️
Wo Saath The To Bhi Sab Acha Tha,
Wo Chle Gye Tab Bhi Kuch Badla Nhi,
Aansuon Main Dubi To Thi Kuch Raate,
Pr Fir Bhi Kuch Zyada Badla Nhi,
Wo Kehti Thi Badal Jaoge To Chali Jaungi,
Saath Tumhara Chorh Jaungi,
Isliye Shayed Main Kabhi Badla Nhi,
Kabhi Akele Baith Uski Tasviron Ko Gle Lagata Hun,
Prr Ab Kabhi Usko Paas Bulata Nahi,
Faisla Uska Tha Qadr Ki Maine,
Saath Chorhna Tha Usko,
Isiliye Tod Di Saari Bandishe Maine,
Ab Aksar Subah Khud Hi Chai Bana Leta Hun,
Kisi Ke Intezaar Main Ek Cup Aur Bana Deta Hun,
Hoti To Hain Aaj Bhi Baatein Thodi Bht,
Pr Ab Wo Pehle Jesi Koi Baat Nahi,
Kisi Se Ab Mujhe Koi Shikwa Nahi,
Khushi Se Rehta Hun Ab Itni Koi Chinta Nahi,
Bas Khuda Ka Shukr Guzaar Hun,
Meri Usne Ishq Se Mulakaat Karwai Thi,
Jisne Zindagi Ki Ek Alag Ehmiyat Batai Thi.
-Maavi.
©maahi_writes_official -
'Maa'.....❤️
Jab Main Aaya Tha Iss Duniya Main,
To Wo Hi To Thi Jisne Gle Lagaya,
Main Jitni Baar Bhi Gira Chalna Sikhte Hue,
Tab Wo Hi To Thi Jisne Mujhe Uthaya,
Fir Jab Bada Hua Or Haara Kabhi Bhi,
Tab Usne Hi Haar Jeet Ka Paath Parhaya,
Jab Duniya Ne Mohabbat Ke Naam Pe Freb Kiya,
Tab Uski Mamta Ne Hi Mohabbat Ka Shi Matlab Samjhaya,
Jab Bure Samay Main 'Yaaron' Ne Saath Chorha,
To Wo Hi To Thi Jisne Yaar Banke Saath Nibhaya Hai,
Agar Nalayak Beta Main Bs Uska Hi Gina Jaata Hun,
To 'Honhaar' Bhi Maahi Ko Bas Maa Ne Hi Banaya Hai.
-Maahi.
©maahi_writes_official
-
maavi_writes 96w
Mastani
Tu Bhaven Pyaar Si Mera,
Par Meri Izzat To Wad Pyaara Nyi,
Rehna Chaundi Si Naal Tere,
Par Mastani Banna Gawara Nhi,
Ditti Si Wafawan Tenu,
Par Hundiya Mere Te Oh Haavi Gyi,
Chawenga Tu, Aa Jaavan Fir Naal Tere,
Par Hun Main Teri Oh Maavi Nhi,
Tu Bhaven Sacha Pyaar Si Mera,
Par Meri Izzat Ton Vadh Pyaara Nhi.
-Maavi
©maavi_writes -
maavi_writes 160w
Bachchi hu isliye shayed jaldi bikhar Jaati hu
Bachchi Hun Isliye Shayad Jldi Bikhar Jaati Hun,
Koi Hske Baat Bhi Karle To, Use Pyaar Deti Reh Jaati Hun,
Sabko Dil Ka Saaf Samjhti Hun, Shayad Isiliye Bewakoof Ban Jaati Hun,
Bachchi Hu Na, Shayad Isiliye Jldi Bikhar Jaati Hun,
Koi Khe Ki Pyaar Krta Hun, To Bhi Turnt Drr Jaati Hun,
Koi Khe Ki Saath Nibhaunga, To Uspe Eitbaar Jatati Hun,
Isi Glti Ko Dohrati Hun, Shayad Isiliye Roti Reh Jaati Hun,
Bachchi Hun Na, Shayad Isiliye Jldi Bikhar Jaati Hun,
Koshish Rehti Hai Na Ruthe Koi,
Isliye Apne Aansu Chupa Ke, Khushiyan Bantati Hun,
Koi Dil Dukha De Mera, To Bhi Khudko Dantati Hun,
Bachchi Hun Na, Bachcho Wala Dil Leke Ghumti Hun,
Bchpna Krti Hun Har Pal, Jhlli Bnke Jhumti Hun,
Khudke Bikhre Tukdo Ko Samet Ke Shi Se Jod Bhi Nhi Paati Hun,
Bachchi Hun Na, Shayad Isiliye Dubara Se Bikhar Jaati Hun.
–maavi
©maavi_writes -
word_ilicious 228w
There is no sociality in society
And no humanity in human beings
Whats the difference between animals and humans if we don't protect each other???
#masoomsi
@writersnetwork
@readwriteunite,@avigos,@riansv13,@omi_jain,@musicoholic_nik,@poetry_love,@gauri_sri,@rishamehndi,@sukanya94,@creativity26,@dark_matterLittle fairy entered the world with magical smile
Parents nurtured her as a heaven-sent fortune
She reckoned this world to be a warm hearted blanket
But cannot see the monsters shadowing to open her jacket
Frightened, wounded and molested
Brutality took away her life, And
Humanity lost its color in her cries
©monikadurga1461
